"TUM" ko toda maine jab bhi
akshar(alphabet) maine do paya.
"TU" se tum ho"M" se main hoon
raaz samajh main jab aaya
tum to kewal tum nahi ho
main bhi kewal main hi nahin hoon
ya fir keh lo hum hi hum hain
fir kahe ki baat ka gum hain
todo modo shabd banao
"TU" se tumhara "M" se man hai
kuch sheetal hai kuch chandan hain
kuch sheetalta mujko de do
main bhi kuch chandan ho jaon
aur kabhi fir nischal bhaw se tumko paoon
"M" se mere "TU" se tumhara
jo mere wo sab hai tumhara
humara keh le jab hum hi hum hain
fir kahe ki baat ka gum hain
todo modo shabd banao
"TU" se tum ho "M" se main hoon...........